• 22 Jan, 2025

Bollywood Filmy Shayari in Hindi Best 4 ever

Bollywood Filmy Shayari in Hindi Best 4 ever

filmy shayari in hindi, अपनी आँखों के समंदर में डूब जाने दे.. तेरा मुजरिम हूँ मुझे डूब के मर जाने दे

 Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai,
Ke Zindgi Tumhare Zulfo Ki Narm Chhanv Mein Gujarne Paati,
Toh Shadab Ho Bhi Sakti Thi…
Yeh Ranjo-Gham Ki Syaahi Jo Mere Zeest Ka Muqaddar Hai,
Tere Nazar Ke Shuao Mein Kho Bhi Sakti Thi…
Magar Ab Yeh Aalam Hai Ke Tu Nahi Tera Gham Teri Justju Bhi Nahi,
Gujar Rahi Hai Kuchh Iss Tarah Se Zindagi Jaise Ise Kisi Ke Sahare Ki Aarjoo Bhi Nahi.


Kehte Hai Pyar Mein Neend Udh Jaati Hai …
Koi Humse Bhi Mohabbat Kare …
Kambhakt Neend Bahut Aati Hai


Hume Toh Apno Ne Loota,
Gairon Mein Kahan Dum Tha …
Meri Kashti Thi Doobi Wahan,
Jahan Pani Kam Tha.


अपाहिज वो नहीं, जिसका कोई अंग न हो…
अपाहिज वो है , जो अपने अंग का इस्तेमाल न करे।
दूसरों की मदद न करने वाले हाँथ अपाहिज हैं,
जुल्म को देखकर मुड़ने वाली आँख अपाहिज है…
माँ बाप को छोड़कर भागने वाले पाँव अपाहिज हैं।।


Paani Se Pyaas Nah Bhuji Toh,
Maikhane Ki Taraf Chal Nikla …
Socha Shikayat Karoon Teri Khuda Se
Par Khuda Bhi Tera Aashiq Nikla.


Jisne Hamko Chaha, Use Hum Chah Naa Sake,
Jisko Hamne Chaha, Use Hum Paa Naa Sake,
Ye Soch Lo Ki, Dil Tutne Ka Khel Hai,
Kisi Ka Toda Aur, Apna Bacha Naa Sake.


Teri Aankhon Ki Namkeen Mastiyan,
Teri Hasi Ki Beparwaah Gustakhiyan,
Teri Zulfo Ki Lehrati Angdaiyan,
Nahi Bhoolunga Main,
Jab Tak Hai Jaan, Jab Tak Hai Jaan.


Pyar Mein Sauda Karne Ki Aadat In Aamiron Ki …
Jaan Le Leti Hai Hum Jaise Gareebon Ki.


Paal Le Koi Rog Nadan Zindagi Ke Vaaste …
Sirf Sehat Ke Sahare Zindagi Katti Nahi


Hasogi Toh Jeet Jaogi,
Rahogi Toh Dil Dukhaogi …
Chahe Paas Raho Nah Raho,
Hamesha Apne Saath Paogi


Hamari Iss Duniya Mein Zindagi Thami Si Rehti Hai,
Kabhi Aaiyega But Banke Baithenge.


Aye Khuda Aaj Yeh Faisla Karde,
Use Mera Ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe Hai Maine,
Koi Khushi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahut Mushkil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kam Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse, Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam, To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe Fanaa Karde.


अपनी आँखों के समंदर में डूब जाने दे
तेरा मुजरिम हूँ मुझे डूब के मर जाने दे