• 23 Oct, 2024

Maa Tu Bahut Yaad Aati Hai Best Poem 4 Mother’s Day In Hindi

Maa Tu Bahut Yaad Aati Hai Best Poem 4 Mother’s Day In Hindi

Mothers Day Poem, “Maa tu bahut yaad aati hai”, Mother’s Day is a day for all people to show their love and share some memory with mother and celebrate all moments. It is an annual event and many people celebrate this.

Now i’m going to share some poem on Mothers day so thanks for being hare and please share your thought in cooment box.

हिंदी :- मदर्स डे कविता, मदर्स डे सभी लोगों के लिए अपना प्यार दिखाने और माँ के साथ कुछ स्मृति साझा करने और सभी क्षणों को मनाने का दिन है। यह एक वार्षिक कार्यक्रम है ,

और कई लोग इसे मनाते भी हैं। अब मैं मदर्स डे पर कुछ कविता शेयर करने जा रहा हूँ | कृपया आप इशे पढ़े और अपने विचार को कमेंट बॉक्स में साझा करें।

Maa tu bahut yaad aati hai
Ek shabd ‘OM’ jo sansar ke sabhi dewtao ke name ko shamet kar ek kar deta hai…
Ek shabd ‘maa’ jo is Bramand ke rachaita ko bhi rula deta hai…

Ek ladka jo apme maa-bap ko chhodka ek ladki se sadhi kar leta hai.
our kahi dur ek sehar me jakar rehne lagta hai.
Waqt ke is dayre me chalkar ek achha insan to ban jata hai.
our ushke aas-pass aage pichhe bahut sare log kame karte hai..
yani wah apni zindgi me ek bada insan ban gaya hai.


Our o bahut khush rehta hai..
par ek bat aaj bhi ushke dil me khalti hai..
Ki mere pash maa kyo nahi hai…?
Ek bar o bimar pad jata hai ushke chahne wale sub aate hai our ushka hal puchkar chale jate hai…
Our usdin Mother’s day rahta hai..


Ushki bibi apne bache ke sath apne ‘maa’ ke yaha mother’s day mane gai hui hoti hai..
Rat ko thandi hawaye bahne lagti hai khidki khula huaa hota hai. our o itna kamjor ho chuka rehta ki o utkar chadar bhi nahi la pata hai.


Our o kya karta hai ki o jish bichawan pe soya rehta hai..
thand se bachanke ke liye ushi ko apne sarir me lapet leta hai…
Lekin ushka sarir abhi bhi kap rahe hote hai…
Ush waqt ushke hoth bhi kap rahe hote hai.


ush waqt ushke hotho se ‘maa’- maa’ ki awaje nikalne lagti hai…
Our ushki aakhe aashuo se bhar jati hai…
Ki kash meri maa mere pas hoti to muje ish halt me na dekhti.
o mere pash baithi meri madat kar rahi hoti our aaj mai akela na hota…

ush waqt o yahi kehta hai..

MAA Tu bahut yaad aati hai…
Tere bato se jine ka junoon milta tha…
Tre aanchal me jannat ka sukoon milta tha..
waqt ne kaha lake khada kar diya,
Ye sochkar aakhe bhar aati hai…

MAA Tu bahut yaad aati hai..
kyo tere aihsan bhool gaya mai..?
kyo aapni jimmedariyo se dur aa gaya mai..?
Aaj tu kish hal me hogi,
Ye sochkar aakhe bhar aati hai…
MAA tu bahut yaad aati hai…

AAJ bhi mujhe yaad hai o din,
Mujhe khilakar khud bhukha so jati thi..!
Meri har mang ko pura karne ki khatir,
pathare uthati thi..!
Akhir kaise bhool gaya mai ye sub,
Ye soch meri aakhe bhar aati hai..!
MAA tu bahut yaad aati hai…

kash mai tujhse dur na jata..
kash mai teri bat man jata..
TO aaja mai apni hi nazaro me na gir pata..
Maa mai tera dosi hu,
ye sochkar meri aakhe bhar aati hai…!
MAA tu bahut yaad aati hai..