• 21 Nov, 2024

16 Best Hindi filmy shayari In Hindi

16 Best Hindi filmy shayari In Hindi

film shayari , Jo Taar Se Nikli Hai, Wo Dhun Sabne Suni Hai, Jo Saans Pe Guzri Hai, Wo Kis Dil Ko Pata Hai.Bollywood Movie Shayari In Hindi

Main Aur Meri Tanhaai,
Aksar Yeh Baatein Karte Hain,
Tum Hoti Toh Kaisa Hota,
Tum Ye Kaheti,
Tum Wo Kaheti,
Tum Iss Baat Pe Hairaan Hoti,
Tum Us Baat Pe Kitana Hansti,
Tum Hoti Toh Aisa Hota,
Tum Hoti Toh Waisa Hota,
Main Aur Meri Tanhaai, Aksar Yeh Baatein Karte Hain…


Jo Taar Se Nikli Hai,
Wo Dhun Sabne Suni Hai, 
Jo Saans Pe Guzri Hai, 
Wo Kis Dil Ko Pata Hai.


औरत पर हाँथ डालने वाले की उँगलियाँ नही काटते ,
काटते हैं उसका गला।।


Rone De Tu Aaj Humko,
Tu Aankhein Sujane De,
Baaho Mein Le Le Aur Khud Ko Bheeg Jaane De,
Hai Jo Seene Mein Qaid Dariya Wo Chhoot Jayega,
Hai Itna Dard Ki Tera Daaman Bheeg Jaaega.


Taqdeerein Badal Jaati Hai,
Zamana Badal Jaata Hai,
Mulkon Ki Tareekh Badal Jati Hai,
Shahenshah Badal Jaate Hai,
Magar Iss Badalti Hui Duniya Mein
Mohabbat Jis Insaan Ka Daaman Thaam Leti Hai,
Wo Insaan Nahi Badalta.


Bachpan Ki Pant Jawani Mein Fit Nahi Hoti …
Aur Har No Ball Pe Free Hit Nahi Hoti


Kaate Nahi Katatey Lamhe Intezaar Ke,
Nazrein Bichhayein Baithe Hain Raste Pe Yaar Ke,
Dil Ne Kaha Dekhe Jo Jalwe Husn-e-yaar Ke,
Laya Hai Unhe Kaun Falak Se Utaar Ke.


Humse Door Jaoge Kaise,
Dil Se Humein Bhulaoge Kaise,
Hum Wo Khushboo Hai Joh,
Saason Mein Bastein Hai,
Khud Ki Saason Ko Rok Paaoge Kaise.


Har Ishq Ka Ek Waqt Hota Hai,
Woh Hamara Waqt Nahi Tha.
Par Iska Yeh Matlab Nahi Ki Wo Ishq Nahi Tha.


Itni Shiddat Se Maine Tumhe Paane Ki Koshish Ki Hai,
Ki Har Zarre Ne Mujhe Tumse Milane Ki Saazish Ki Hai.


Teri Aankhon Ki Namkeen Mastiyan,
Teri Hasi Ki Beparwaah Gustakhiyaan,
Teri Zulfo Ki Lehrati Angdaiyan,
Nahi Bhoolunga Main,
Jab Tak Hai Jaan, Jab Tak Hai Jaan.


Tumhare Ishq Se Bani Hoon Main …
Pehle Zinda Thi …
Ab Jee Rahi Hoon Main.


Tum Milo Na Milo, Na Milne Ka Gham Nahi,
Tum Paas Se Hi Gujar Jaao, Milne Se Kum Nahi.
Maana Ki Tumhe Kadar Nahi Humari,
Magar Unse Puchho Jinhe Hum Haasil Nahi.